08 Majlis | 08 Muharram 1446-2024 | Marifat e Imam Zamana | Zakira Shama Hasan | Khawateen Majlis

Full Transcript — Download SRT & Markdown

00:05
Speaker A
A'udhu billahi minash shaitanir rajim.
00:14
Speaker A
Bismillahir Rahmanir Rahim.
00:21
Speaker A
Alhamdulillahir Rabbil Alamin.
00:29
Speaker A
Bari'il khala'iqi ajma'in, fatiris samawati wal ardin.
00:38
Speaker A
Was salatu was salamu ala ashrafil awwalin wal akhirin, khatamin nabiyyin, shafi'il muznibeen, Abil Qasim Muhammad.
00:55
Speaker B
Allahumma salli ala Muhammadin wa Aali Muhammad.
01:45
Speaker A
Wa ala aalihit tayyibin at-tahirin al-mazlumin al-maghsumin.
01:53
Speaker A
Wa la'natullahi da'imatul baqiyah wa ala a'da'ihim wa qatalatihim ajma'in minal an ila qiyami yawmiddin.
02:10
Speaker A
Amma ba'du faqad qallallahu tabaraka wa ta'ala fi kitabihil majid wa furqanihil hamid. Innamā yurīdullāhu liyudhhiba ankumur rijsa ahlal bayti wa yuṭahhirakum taṭhīrā.
02:34
Speaker B
Allahumma salli ala Muhammadin wa Aali Muhammad.
03:24
Speaker A
Aaj bhi majlis ki ibtida hum Imam-e-Zamana ki salamati ki dua se karte hain.
03:29
Speaker A
Bismillahir Rahmanir Rahim. Allahumma kun li waliyyikal Hujjatibnil Hasan, salawatuka alayhi wa ala aaba'ihi, fi hazihis sa'ah wa fi kulli sa'ah, waliyyan wa hafizan, wa qa'idan wa nasira, wa dalilan wa ayna, hatta tuskinahu arzaka taw'a, wa tumatti'ahu fiha tawila, bi rahmatika ya Arhamar Rahimin.
05:07
Speaker A
Ba awaze buland naraye salawat.
05:17
Speaker B
Allahumma salli ala Muhammadin wa Aali Muhammad.
05:28
Speaker A
Ma'rifat-e-Imam-e-Zamana ke unwan se aaj is ashra-e-awwal ki aathvin majlis aap sab ki sama'aton ki nazar hai. Tamam ta'rifein us Khuda-e-buzurg-o-bartar ke liye jo Alamin ka palne wala hai.
05:52
Speaker A
Aur woh Khuda usne apne kalam mein, Quran-e-Pak mein guzista ummaton ka tazkira kiya, aane wale halaat ka tazkira kiya. Hum agar masa'ib mein mubtala ho jayein to kaise Khuda ki madad milti hai? In sab baaton ka tazkira Quran-e-Pak mein hai. Aur hamari zehni halat ka, hamare mizaj ka ta'alluq jin baaton se hai, unka tazkira bhi Allah ne Quran mein kiya.
06:45
Speaker A
Kahan kiya? Quran-e-Pak mein Surah Qiyamah, aur Surah Qiyamah ki ayat number 22 aur 23. In aayaton mein Parwardigar-e-Alam irshad farma raha hai, 'Kalla bal tuhibbunal ajilah. Wa tazarunal akhirah.' Tum duniya ko, duniya mein itne magan ho ke duniya mein magan rehte ho, ghaflat mein pad jate ho, apni akhirat ko bhool jate ho.
07:09
Speaker A
Aur jab bhool jate hain na akhirat ko to pata hai kya hota hai? Phir ye hota hai ke ye duniya jise Allah ne hamare istemal ke liye banaya. Jannat bhi Allah ne momino ke liye banayi hai. Momino ko kya cheez chahiye? Ne'mat ko extreme level pe rakha hai Khuda ne.
07:36
Speaker A
Hum jitna bhi sochein, Jannat itni khoobsurat hogi, Jannat itni khoobsurat hogi, hamari sochon se badh ke Jannat khoobsurat hai. Aur kyun banayi Allah ne? Momino ke liye.
07:52
Speaker A
Duniya kyun banayi? Sab insano ke liye. Aur hum jab is duniya mein hote hain to hota kya hai? Jo duniya humein Allah ne istemal ke liye banayi na, hum duniya ki cheezon se mohabbat karne lagte hain. Mera ghar, meri gaadi, meri izzat, mera status.
08:12
Speaker A
Meri jewellery, kahin main jaaun, mere kapde, log mujhe dekh ke ta'reef karein, kya dressing ki hai? Main, main, main, main. Hum aise main main ghafil hote hain ke humein jo cheezein istemal ko di hain, unse hum mohabbat karne lagte hain. Aur Allah ne jo rishte mohabbat ke liye diye hain, hum un rishton ko istemal karne lagte hain.
08:33
Speaker A
Isliye mera kaam nahi kiya, ab main isse nahi milungi. Kisi baat pe naraz ho gaye, bhai ne beti ka rishta kar diya, mujhe bataya nahi, ab main inki shaadi mein nahi jaungi. Ye hum main main karke dil ke faisle karte hain.
08:53
Speaker A
Kahan likha hai shariat mein? Ke beti ka rishta kare ya bete ka rishta kare, pehle poore khandan se mashwara le. Nahi bhai, maa baap hain. Allah maujood hai. Aur aapka dil mutma'in hai to haan karein, phir sabko batayein.
09:16
Speaker A
Magar choti choti baaton par hum siqta-e-rehm karte hain, rishtedariyon ke ta'alluqat tod dete hain. Aur Allah ne ye ta'alluqat, ye rishtedariyan isliye banayi hain, inse mohabbat karo.
09:37
Speaker A
Hum istemal karte hain aur cheezon se mohabbat karte hain jo hamare istemal ke liye hain. Ek choti si riwayat bayan karun, baat wazeh ho jaye. Zulqarnain Sikandar.
09:57
Speaker A
Ye woh badshah hai jisne duniya ke wasi qabile ko fatah kar liya tha. Wasi riqbe ko fatah kar liya tha. Us jaisa phir koi duniya ko dobara fatah nahi kar saka. Jab uske marne ka waqt qareeb aaya, usne wasiyat ki.
10:30
Speaker A
Mere marne ke baad jab mujhe ghusl-o-kafan dena, to mere haath kafan se bahar nikal dena. Aap sab jante hain na, jab mayyat ko ghusl-o-kafan dete hain to haath andar hote hain. Bandhe kafan laga dete hain, bandh dete hain.
11:00
Speaker A
Usne wasiyat ki, mere haathon ko kafan se bahar nikal dena. Aur aisa nikalna ke sab aane walon ko mere khule hue haath bahar nikle hue nazar aayein.
11:20
Speaker A
Inteqal ho gaya.

Transcribe Another YouTube Video

Paste any YouTube link and get the full transcript with timestamps for free.

Transcribe a YouTube Video