Women's Day Special || Haa Main Ek Ladki hu|| Nidhi Jeena || Storytelling || Poetry || CB Studio

Full Transcript — Download SRT & Markdown

00:05
Speaker A
कई सवाल जवाब करते हैं मेरे लड़की होने पर, इसीलिए आज कुछ सवाल और जवाब मेरी तरफ से।
00:25
Speaker A
A very happy Women's Day to all of you. It's a very prestigious part for me to speak on such a special and auspicious day, that is International Women's Day.
00:37
Speaker A
My name is Nidhi Jeena, aur aaj is avsar par main apne kuch vichar prastut karne ja rahi hu, jo kuch is prakar hai.
00:45
Speaker A
Haan, main ek naari hu, haan main ek ladki hu, haan main ek naari hu, haan main ek aurat hu, mera hona mera garv hai, mera astitva hi mera ghar hai.
00:58
Speaker A
Lekin, lekin ye samaaj, ye samaaj ki sankirn maansikta aur isi maansikta ke shikar yahan ke log.
01:49
Speaker A
Kayi sawal jawab karte hain mere ladki hone par, kayi sawal jawab karte hain mere ladki hone par, isiliye aaj kuch sawal aur jawab meri taraf se, kuch sawal aur jawab meri taraf se.
02:07
Speaker A
Kya is samaaj ko awaaz nahi sunai deti us choti si masoom si bacchi ki jo abhi bhi apni maa ke garbh mein cheekh-cheekh kar ro-ro kar bolti hai ki maa mujhe bhi bahar aana hai, mujhe bhi is duniya ko dekhna hai, mujhe bhi mata-pita ka naam roshan karna hai.
02:30
Speaker A
Kya is samaaj ko us ladki ki peeda nazar nahi aati jo apni maa ko, jo apni maa ko ye batate hue kehti hai ki mujhe padhna hai, mujhe badhna hai, is desh ka naam roshan karna hai, kya is samaaj ko us ladki ki cheekhein nazar nahi aati jo apne aap ko is din ke ujale mein bhi surakshit mehsoos nahi karti, kya is samaaj ko us ladki ki peeda nazar nahi aati jiski sirf na kehne par uske chehre par tezaab daal diya jata hai.
03:47
Speaker A
Kya is samaaj ko us ladki ki awaazein nazar nahi aati jiske, jiske saath har roz, jiske saath har roz balatkaar jaisa gunaah hota hai, kya is samaaj ko us ladki ki awaaz nazar nahi aati jisko nyay ke katghare mein sirf aur sirf afsos ka fal milta hai, kya is samaaj ko us ladki aur us aurat ki awaaz sunai nahi deti jab uske kuch kehne par uske chehre par ek zor ka thappad mara jata hai.
05:06
Speaker A
Kya is samaaj ko us aurat aur us mahila ki awaaz sunai nahi deti jo sirf talaak ka sahara liye ghoomti hai, jo sirf talaak ka sahara liye ghoomti hai, ye samaaj kayi sawal jawab karta hai mere liye.
05:23
Speaker A
Kayi sawal jawab karta hai mere liye, lekin, lekin aaj sawal ye nahi hai ki kaun mujhe batane ja raha hai, kyunki samaaj ki purani aadat hai ye batane ki ki tum ladki ho, tum aurat ho, tum naari ho, you are a girl, you are a woman and I am the victim.
05:46
Speaker A
Sawal ye nahi hai ki kaun mujhe batane ja raha hai, sawal to ab ye hai ki kaun mujhe rokne ja raha hai, ki kaun mujhe rokne ja raha hai, aur isi ke jawab mein main kehna chahungi.
06:40
Speaker A
Haan, haan shayad kamzor thi main, haan shayad kamzor thi main lekin ab na rahungi, haan shayad kamzor thi main lekin ab na rahungi, apni awaaz ke saath haq ke liye un sab se ladungi, na rehna dhoke mein, na rehna dhoke mein ki main komalta wali naari hu, yaad rakhna main ab kathorta ki sawari hu, main kal thi, main aaj hu aur main kal bhi rahungi, apne varchasva ki pehchan ban aakar banungi, apne varchasva ki pehchan ban aakar banungi.
07:33
Speaker A
I, I do not want to fit into the glass slipper that someone had made for me by this patriarchal society, I want to break it by the term glass ceiling, jab-jab, jab-jab mere aatmasamman, meri pavitrata, mere adhikaron aur meri aazadi ke bare mein ye samaaj ungli karte rahega, tab tak main, yaani har ek wo mahila, har ek wo naari, har ek wo ladki apne haq, apne adhikaron ke liye is samaaj se ladti rahegi, so main ek ladki hu, main ek naari hu, main ek aurat hu, main ek mahila hu.
08:44
Speaker A
Thank you for listening to me, that's all for my side.

Get More with the Söz AI App

Transcribe recordings, audio files, and YouTube videos — with AI summaries, speaker detection, and unlimited transcriptions.

Or transcribe another YouTube video here →